Bilal Kazmi

Bilal Kazmi
bilal Kazmi

Monday, 4 May 2015

Kahin dushman kai piyade kahin aswar gire

Jis taraf dekh liya sher nai do char gire...



Dushmane aale mohammad se na rakhho ummid.

Uske saaye mai na baitho k jo deewar gire..



Jung is taraha ho zainab nai kaha bachho se.

Dasht se gard uthe lashkare kuffar gire...



Paaon is taraha rakabo m jamaye rakhna.

Kal koi ye na kahe jaffare tayyar gire.......




Karbala rukh se hata le jo zara der nakab .

Ye abhi misr ka chadta hua bazar
gire...



Is tarah maut pa ja padte the ansare hussain.

Jaise bazare mohabbat pa kharidar gire...




Ye safar sakht tha naizon k safar se fir bhi.

Ladkhadaye na kahin aabide beemar gire....



Usko kehte hein shuja at ki lughat m abbas.

Haath ho jayen kalam fir bhi na talwar gire...



Usne khutbat k lashkar ko diya yon tarteeb.

Pehle sarkar gire bad m darbar gire........




Yon sare farshe aza ashk bikhar jate hein.

Jis tarah toot k gardan se koi haar gire.......




Lad  khadati huee dunia m sambhlane k liye.

Ham dare haidare karrar pa soo bar gire.....




Azamate karbobala kya koi samjhega bilal.

Ye zamin wo h k jis par falak asaar gire...

Kalam : Bilal kazmi s.b

No comments:

Post a Comment