Bilal Kazmi

Bilal Kazmi
bilal Kazmi

Wednesday, 6 May 2015

kalam bilal kazmi s.b

(1)
Haider se adawat thi to kaba nhi lete.

pathhar ke maqin haath mai sheesha nhi lete.....



(2)
hum log hain marhoone karam karbobala ke.

hum log saoodi se wazeefa nhi lete.....



(3)
nawaqife abbase dilawar se ye poocho.

buzdil to taree ka ilaka nhi lete....



(4)
sadat ki ghurbat ka bharam fiqraye zainab.

sab jinka tasdduk ho wo sadka nhi lete....




(5)
rukhsaaron pa ehsas lagata hai tamache.

jis roz kai hum naame sakeena nhi lete....



(6) 
aashor ke din rehte hain mohtat yahan tak. 

aulad bhi mar jae to pursa nhi lete...



(7)
gham aur bhi ho jata siwa baghe fidak ka.

abbas agar cheen ke dariya nhi lete....

Kalam : Bilal kazmi s.b

No comments:

Post a Comment