Bilal Kazmi

Bilal Kazmi
bilal Kazmi

Tuesday, 5 May 2015

kalam bilal kazmi s.b

             (Manqabat)

(1)
Ridaen cheen li jaen to lehja oorh lete hain.

koi waqte museebat ho yahan parda nhi jata....


(2)
Jo ungli ka ishara 
khench de khat unki marzi ka..

 To aage ek kadam suraj se bhi jaya nhi jata....



(3)
Faqat ye soch lete baghe zehara cheen ne wale.

jahan milta ho be mange wahan loota nhi jata..



(4)
Yahi waahid kasoti hai jahan majboor hai duniya.

Zabardasti kisi bhi aankh se roya nhi jata.....


              
(5)
Yahi kehte hue sheh ne charagon ko bujhaya hai.

Ye heeray hain ujaalon mai inhe parkha nhi jata...



(6)
Habeeb ibne mazahir ki tarah labbaik wajib hai.

Imame waqt den awaz to soocha nhi jata....



 (7)
Ye kehkar seenaye akbar ne barchi tor di ran mai.

Payamber sa kaleja ho to phir uljha nhi jata........


Kalam : Bilal kazmi s.b

No comments:

Post a Comment